TRUEISLAMICINFO for Quranic Verse and Sahih Ahadees

Sunday, 23 December 2012

Quranic Verses and Hadiths regarding Shirk - 2

Al-Quran: ALLAH jisko chahta hai Suna deta hai, aur tum unko jo Qabro main Madfoon hain Suna nahi sakte¤(Fatir,V#22)

Al-Quran: is shaks se bhar ker kon ghumrah hoga jo ALLAH ko chor ker inhain pukaarta hai, jo Qayamat tak ise jawab nahi de sakte, bulke woh inki pukar se he be-khaber hain¤
(Al-Ahkaf,V#5)

Al-Quran: aur Jin logo ko ALLAH ke siwa ye log pukaartey hain woh koi cheez bhi paida nahi ker 
saktey, bulkey woh khud paidah kiye gaey they¤ woh Murdah hai, Inko to ye bhi nahi ma'loom ke woh kab uthaey jaengey¤
(Al-Nahl, V# 20:21)

Hadees: Syedha Aaisha Raziallahu Anha fermatin hain jo shaks ye gumaan rakhta hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam kal ko pesh aaney waaley halaat ka Ilm rakhtey hain, is ne Allah per bohat bara Bohtaan baandha, kyun ke Irshaad Baari Ta'la hai:"keh dijye ke Aasman waalon main se aur Zameen waalon main se siwae Allah ke koi Gaib nahi jaanta"(An-Naml, V#65)
(Sahih Muslim, H# 177)

Hadees: Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, may ne Qiyamat ke din apni ummat ki Sifarish ke lye 1 Dua ko mehfooz ker rakha hai, woh Inshallah is shaks ko hasil hogi jo ALLAH ke saath kisi qism ka shirk na kerte hoe Fot hoa.
(Sahih Muslim, Kitabul Iman, H#199)

No comments:

Post a Comment